Shyaam abhimaanee tum to bhae mathuraa ke raajaa

श्याम अभिमानी तुम तो भए मथुरा के राजा
Year
Language

आ: श्याम अभिमानी ओ श्याम अभिमानी
तुम तो भए मथुरा के राजा रोती रही राधा रानी
श्याम अभिमानी …
र: राजा हुआ मैं औरों का लेकिन राधा मेरे मन की रानी

आ: अच्छा बताओ साँवरे काहे छोड़ा गोकुल गाँव रे
जिस बंसी के थे बावरे वो कर गई मन में घाव रे
बनते हो तुम दीनों के बन्धू नारी की पीड़ा नहीं जानी
श्याम अभिमानी …

र: मेरी बन्सी में जितने गीत हैं सब राधा के मनमीत हैं
कब राधा अलग है श्याम से वो तो जुड़ गई है मेरे नाम से
चन्दा में ज्योति सीपों में मोती सागर में जैसे हो पानी

आ: मोती की बातें छोड़ दो देखो टूटे दिल को जोड़ दो
र: ओ कुछ ऐसी थीं मजबूरियाँ जो बढ़ गईं अपनी दूरियाँ
आ: सुबह का भूला संध्या को जो लौटे कहते हैं सब उसको ज्ञानी
श्याम अभिमानी …

ā: śhyām abhimānī o śhyām abhimānī
tum to bhae mathurā ke rājā rotī rahī rādhā rānī
śhyām abhimānī …
ra: rājā huā maiṅ auroṅ kā lekin rādhā mere man kī rānī

ā: achchhā batāo sāṇvre kāhe chhoṛā gokul gāṇv re
jis baṅsī ke the bāvre vo kar gaī man meṅ ghāv re
bante ho tum dīnoṅ ke bandhū nārī kī pīṛā nahīṅ jānī
śhyām abhimānī …

ra: merī bansī meṅ jitne gīt haiṅ sab rādhā ke manmīt haiṅ
kab rādhā alag hai śhyām se vo to juṛ gaī hai mere nām se
chandā meṅ jyoti sīpoṅ meṅ motī sāgar meṅ jaise ho pānī

ā: motī kī bāteṅ chhoṛ do dekho ṭūṭe dil ko joṛ do
ra: o kuchh aisī thīṅ majbūriyāṇ jo baṛh gaīṅ apnī dūriyāṇ
ā: subah kā bhūlā saṅdhyā ko jo lauṭe kahte haiṅ sab usko jñānī
śhyām abhimānī …