lat: īchak dānā bīchak dānā dāne ūpar dānā, īchak dānā
chhajje ūpar laṛkī nāche, laṛkā hai dīvānā, īchak dānā
lat: ek jānavar aisā jiske dum par paisā
sar pe bhī tāj hai bādśhāh ke jaisā
o'
bādal dekhe chham-chham nāche albelā mastānā, īchak dān
bolo kyā?
bachche: mor
īchak dānā, bīchak dānā …
lat: harī thī man bharī thī, lākh motī jaṛī thī
rājā jī ke bāġh meṅ duśhālā oṛhe khaṛī thī
o'
kachche-pakke bāl haiṅ uske mukhaṛā hai suhānā, īchak dānā
bolo kyā?
rāj: buḍḍhī
bachche: bhuṭṭā
lat: chhoṭī sī chhokrī lālbāī nām hai
pahne vo ghāghrā ek paisā dām hai
o'
muṇh meṅ sabke āg lagāye ātā hai rulānā, īchak dānā
bolo kyā? bolo na
bachche: mich.rī
mukeśh: īchak dānā bīchak dānā dāne ūpar dānā, īchak dānā
chhajje ūpar laṛkī nāche, laṛkā hai dīvānā, īchak dānā
chāleṅ vo chalkar dil meṅ samāyā
ā hī gayā vo, kiyā hai safāyā
tum bhī dekho bachkar rahnā chakkar meṅ na ānā, īchak dānā
lat: ġham?
rāj: dhat! ham!