ek pyār kā naġhmā hai, maujoṅ kī ravānī hai
ziṅdgī aur kuchh bhī nahīṅ, terī merī kahānī hai - (2)
kuchh pākar khonā hai, kuchh khokar pānā hai
jīvan kā matalab to, ānā aur jānā hai
do pal ke jīvan se, ek umr churānī hai
ziṅdgī aur...
tū dhār hai nadiyā kī, maiṅ terā kinārā hūṇ
tū merā sahārā hai, maiṅ terā sahārā hūṇ
āṇkhoṅ meṅ samaṅdar hai, āśhāoṅ kā pānī hai
ziṅdgī aur...
tūfān to ānā hai, ākar chale jānā hai
bādal hai ye kuchh pal kā, chhākar ḍhal jānā hai
parchhāiṅyāṇ rah jātīṅ, rah jātī niśhānī hai
ziṅdgī aur...
jo dil ko tasallī de, vo sāz uṭhā lāo
dam ghuṭne se pahle hī, āvāz uṭhā lāo
khuśhiyoṅ kī tamannā hai, aśhkoṅ kī ravānī hai
ziṅdgī aur...