Sholaa jaise bharke re ... kamriyaa lachke re

शोला जैसे भड़के रे ... कमरिया लचके रे
Work
Year
Language

शोला जैसे भड़के रे दिल मेरा धड़के रे
कमरिया लचके रे बाबू ज़रा बच के रे
शोला जैसे भड़के …

जले रे मोरा जिया
छूना ना मोहे पिया
हे आई कहां से ओ दिलरुबा
जादू सा तेरा सब पे चला
अरे दीवानों को ना ऐसे जला
यूं ना दिलों पर छुरियां चला
कमरिया लचके रे …

आई रे आई रे आई सपनों की राअनी है आई
आई रे आई
हो हो हे हे
इक ना इक दिन मिल जाएगी हमको भी सपनों की रानी
आई रे आई रे आई

साँसों में हैं चिंगारियाँ
सीने में कोई चुभन है
नस नस में जागी अगन है
रोक ना तू इस आग को जलने दे
जो भी अगन है देख ज़माना मगन है
मेरे कलेजे में कोई तीर है गड़ा
चढ़ा रे चढ़ा रे चढ़ा
ये कैसा ज़हर है चढ़ा
तुझको नहीं कुछ भी होश है
तेरी उमर का ये दोष है
दीवानों को ना ऐसे …

सारा जहां पीछे पड़ा दुश्मन बनी ये जवानी
मुश्किल में है ज़िंदगानी
डर है तुझे किस बात का हम तेरे साथी हैं जानी
फिर काहे सोचे दीवानी
कहीं दीवाना तो कहीं क़ातिल है खड़ा
जाना मेरा जाना ओहो मुश्किल है बड़ा
जाएगी बच के अब तू कहां
तू है जहां अब हम हैं वहां
दीवानों को ना ऐसे …

śholā jaise bhaṛke re dil merā dhaṛke re
kamriyā lachke re bābū zarā bach ke re
śholā jaise bhaṛke …

jale re morā jiyā
chhūnā nā mohe piyā
he āī kahāṅ se o dilrubā
jādū sā terā sab pe chalā
are dīvānoṅ ko nā aise jalā
yūṅ nā diloṅ par chhuriyāṅ chalā
kamriyā lachke re …

āī re āī re āī sapnoṅ kī rāanī hai āī
āī re āī
ho ho he he
ik nā ik din mil jāegī hamko bhī sapnoṅ kī rānī
āī re āī re āī

sāṇsoṅ meṅ haiṅ chiṅgāriyāṇ
sīne meṅ koī chubhan hai
nas nas meṅ jāgī agan hai
rok nā tū is āg ko jalne de
jo bhī agan hai dekh zamānā magan hai
mere kaleje meṅ koī tīr hai gaṛā
chaṛhā re chaṛhā re chaṛhā
ye kaisā zahar hai chaṛhā
tujhko nahīṅ kuchh bhī hośh hai
terī umar kā ye doṣh hai
dīvānoṅ ko nā aise …

sārā jahāṅ pīchhe paṛā duśhman banī ye javānī
muśhkil meṅ hai ziṅdgānī
ḍar hai tujhe kis bāt kā ham tere sāthī haiṅ jānī
phir kāhe soche dīvānī
kahīṅ dīvānā to kahīṅ qātil hai khaṛā
jānā merā jānā oho muśhkil hai baṛā
jāegī bach ke ab tū kahāṅ
tū hai jahāṅ ab ham haiṅ vahāṅ
dīvānoṅ ko nā aise …