Shikvaa naheen kisee se kisee se gilaa naheen

शिकवा नहीं किसी से किसी से गिला नहीं
Work
Year
Language

शिकवा नहीं किसी से किसी से गिला नहीं
नसीब में नहीं था जो हमको मिला नहीं
नसीब में नहीं …

तू मिल सका न हमको तसल्ली तो मिल गई
आई बहार शाख पे कली भी खिल गई
अरमां था हमको जिसका वो गुल खिला नहीं
नसीब में नहीं …

यादों की झिलमिलाती परछाइयों के दिन
कटते नहीं हैं तन्हा तन्हाइयों के दिन
है चाहतों का दिलकश अब सिलसिला नहीं
नसीब में नहीं …

śhikvā nahīṅ kisī se kisī se gilā nahīṅ
nasīb meṅ nahīṅ thā jo hamko milā nahīṅ
nasīb meṅ nahīṅ …

tū mil sakā na hamko tasallī to mil gaī
āī bahār śhākh pe kalī bhī khil gaī
armāṅ thā hamko jiskā vo gul khilā nahīṅ
nasīb meṅ nahīṅ …

yādoṅ kī jhilmilātī parchhāiyoṅ ke din
kaṭte nahīṅ haiṅ tanhā tanhāiyoṅ ke din
hai chāhtoṅ kā dilkaśh ab silsilā nahīṅ
nasīb meṅ nahīṅ …