Shammaa men taaqat kahaan jo ek parvaane men hai

शम्मा में ताक़त कहाँ जो एक परवाने में है
Year
Language

शम्मा में ताक़त कहाँ जो एक परवाने में है -2
लुत्फ़ जलने में नहीं जल-जल के मर जाने में है -2
शम्मा में ताक़त …

चाँदनी रातों में अक्‌सर सोचता रहता हूँ मैं
किसकी ये तस्वीर है जो दिल के वीराने में है -2
शम्मा में ताक़त …

मय की मस्ती तो उतर जाती है थोड़ी देर में
ज़िन्दगी भर का नशा आँखों के पैमानों में है
शम्मा में ताक़त …

तू कहे तो आसमाँ की धज्जियाँ कर दूँ सनम
आज इक ऐसी ही वहशत तेरे दीवाने में है -2
लुत्फ़ जलने में …

śhammā meṅ tāqat kahāṇ jo ek parvāne meṅ hai -2
lutf jalne meṅ nahīṅ jal-jal ke mar jāne meṅ hai -2
śhammā meṅ tāqat …

chāṇdnī rātoṅ meṅ ak‌sar sochtā rahtā hūṇ maiṅ
kiskī ye tasvīr hai jo dil ke vīrāne meṅ hai -2
śhammā meṅ tāqat …

may kī mastī to utar jātī hai thoṛī der meṅ
zindgī bhar kā naśhā āṇkhoṅ ke paimānoṅ meṅ hai
śhammā meṅ tāqat …

tū kahe to āsmāṇ kī dhajjiyāṇ kar dūṇ sanam
āj ik aisī hī vahśhat tere dīvāne meṅ hai -2
lutf jalne meṅ …