Shamaa bujhne ko chalee

शमा बुझने को चली
Year
Language

शमा बुझने को चली -2
है यही दर्द कि जल जाए पतंगा न कहीं
शमा बुझने को चली …

उसने चाहा कि मेरा चाहने वाला तो रहे
मैं रहूँ या न रहूँ घर का उजाला तो रहे
अपने प्रीतम के लिए छोड़ दी प्रीतम की गली
शमा बुझने को चली …

भूलकर सबको बस इक अपनी वफ़ा साथ लिए
अपने ही अश्क़ों में भीगी हुई इक रात लिए
ग़म के तूफ़ां में घिरी ठोकरें खाती निकली
शमा बुझने को चली …

śhamā bujhne ko chalī -2
hai yahī dard ki jal jāe pataṅgā na kahīṅ
śhamā bujhne ko chalī …

usne chāhā ki merā chāhne vālā to rahe
maiṅ rahūṇ yā na rahūṇ ghar kā ujālā to rahe
apne prītam ke lie chhoṛ dī prītam kī galī
śhamā bujhne ko chalī …

bhūlkar sabko bas ik apnī vafā sāth lie
apne hī aśhqoṅ meṅ bhīgī huī ik rāt lie
ġham ke tūfāṅ meṅ ghirī ṭhokreṅ khātī niklī
śhamā bujhne ko chalī …