(तू दूर है आँखों से)-2
मेरे दिल को ये ग़म है
दिल को ये ग़म है
(आजा मेरी दुनिया में)-2
तुझे मेरी कसम है
मेरी कसम है
बेचैन हूँ मिल ने की ज़रा,खोल दे राहें
खोल दे राहें
दीदार की हस्रत में तड़पती है निगाहें
हाये निगाहें
(इस दिल के लिये तेरा ना मिल ना ही सितम है)-2
आजा मेरी दुनिया में …
चमकादे तू आकर मेरी क़िस्मत का सितारा
क़िस्मत का सितारा
रस्ता ना भटक जाउँ ज़रा दे दे सहारा
दे दे सहारा
(उल्फ़त की ज़मीन पर मेरा पहला ही कदम है)-2
आजा मेरी दुनिया में …
(tū dūr hai āṇkhoṅ se)-2
mere dil ko ye ġham hai
dil ko ye ġham hai
(ājā merī duniyā meṅ)-2
tujhe merī kasam hai
merī kasam hai
bechain hūṇ mil ne kī zarā,khol de rāheṅ
khol de rāheṅ
dīdār kī hasrat meṅ taṛaptī hai nigāheṅ
hāye nigāheṅ
(is dil ke liye terā nā mil nā hī sitam hai)-2
ājā merī duniyā meṅ …
chamkāde tū ākar merī qismat kā sitārā
qismat kā sitārā
rastā nā bhaṭak jāuṇ zarā de de sahārā
de de sahārā
(ulfat kī zamīn par merā pahlā hī kadam hai)-2
ājā merī duniyā meṅ …