Ik baar too ban jaa meraa

इक बार तू बन जा मेरा
Work
Year
Language

( इक बार तू बन जा मेरा ओ परदेसी
फिर देख मज़ा ) -2
मिल जाये मुझे दिल तेरा ओ परदेसी
फिर देख मज़ा -2

( झिनकत झिनकत झिंगिलला
झिंगिलला ) -2
होय ओय होय ओय

जेठ का महीना हो भीगी-भीगी रात हो
बाजरे के खेत में पहली मुलाक़ात हो
हाय पहली मुलाक़ात हो

होय ओय होय ओय

आये जब बेसाख पिया मेले के नज़ारे हों
हाथ में हाँ हाथ तेरा आँखों में इशारे हों
जी आँखों में इशारे हों

फिर देख मज़ा -2

( झिनकत झिनकत झिंगिलला
झिंगिलला ) -2
होय ओय होय ओय

जेठ और अशाड़ में नदी का किनारा हो
पिया तेरी आँखों में प्यार का इशारा हो
हाय प्यार का इशारा हो

होय ओय होय ओय

हो सावन में झूलाऊँ झूला आँगन हो गुलज़ार का
घर-घर में फिर चर्चा हो जी तेरे-मेरे प्यार का
हाय तेरे-मेरे प्यार का

फिर देख मज़ा -2

( झिनकत झिनकत झिंगिलला
झिंगिलला ) -2
होय ओय होय ओय

भादो की बरसात में, दिल न रहे हाथ में
आयें जब पूस पिया हवा सर्द-सर्द हो
तेरे-मेरे दिलों में फिर मीठा-मीठा दर्द हो
हाय मीठा-मीठा दर्द हो

फिर देख मज़ा

इक बार तू बन जा मेरा ओ परदेसी
फिर देख मज़ा

( झिनकत झिनकत झिंगिलला
झिंगिलला ) -2
होय ओय होय ओय

कातक का महीना हो, पास न तेरे आऊँ मैं
रामा मोहे डर लागे सिमटी-सिमटी जाऊँ मैं

आघन की अंधेरी रातें करती हों जब साँ-साँ
रह-रह कर तुम मुझे बुलावो, कहती जाऊँ ना ना
मैं कहती जाऊँ ना ना

फिर देख मज़ा -2

( झिनकत झिनकत झिंगिलला
झिंगिलला ) -2
होय ओय होय ओय

ओय
पोस का महीना हो, मिल लूँ तेरे बाप से
तेरा-मेरा प्यार है कह दूँ तेरे बाप से
मैं कह दूँ तेरे बाप से

होय ओय होय ओय

माघ में तैयारी पिया, फागुन में
फागुन में
फागुन में
मैं कैसे कहूँ
फागुन में सिगाई हो
तेरा दिल करता हो यूँ-यूँ, आँख मेरी शरमाई हो
जी आँख मेरी शरमाई हो

फिर देख मज़ा
इक बार तू बन जा मेरा ओ परदेसी
फिर देख मज़ा

( ik bār tū ban jā merā o pardesī
phir dekh mazā ) -2
mil jāye mujhe dil terā o pardesī
phir dekh mazā -2

( jhinkat jhinkat jhiṅgillā
jhiṅgillā ) -2
hoy oy hoy oy

jeṭh kā mahīnā ho bhīgī-bhīgī rāt ho
bājre ke khet meṅ pahlī mulāqāt ho
hāy pahlī mulāqāt ho

hoy oy hoy oy

āye jab besākh piyā mele ke nazāre hoṅ
hāth meṅ hāṇ hāth terā āṇkhoṅ meṅ iśhāre hoṅ
jī āṇkhoṅ meṅ iśhāre hoṅ

phir dekh mazā -2

( jhinkat jhinkat jhiṅgillā
jhiṅgillā ) -2
hoy oy hoy oy

jeṭh aur aśhāṛ meṅ nadī kā kinārā ho
piyā terī āṇkhoṅ meṅ pyār kā iśhārā ho
hāy pyār kā iśhārā ho

hoy oy hoy oy

ho sāvan meṅ jhūlāūṇ jhūlā āṇgan ho gulazār kā
ghar-ghar meṅ phir charchā ho jī tere-mere pyār kā
hāy tere-mere pyār kā

phir dekh mazā -2

( jhinkat jhinkat jhiṅgillā
jhiṅgillā ) -2
hoy oy hoy oy

bhādo kī barsāt meṅ, dil na rahe hāth meṅ
āyeṅ jab pūs piyā havā sard-sard ho
tere-mere diloṅ meṅ phir mīṭhā-mīṭhā dard ho
hāy mīṭhā-mīṭhā dard ho

phir dekh mazā

ik bār tū ban jā merā o pardesī
phir dekh mazā

( jhinkat jhinkat jhiṅgillā
jhiṅgillā ) -2
hoy oy hoy oy

kātak kā mahīnā ho, pās na tere āūṇ maiṅ
rāmā mohe ḍar lāge simṭī-simṭī jāūṇ maiṅ

āghan kī aṅdherī rāteṅ kartī hoṅ jab sāṇ-sāṇ
rah-rah kar tum mujhe bulāvo, kahtī jāūṇ nā nā
maiṅ kahtī jāūṇ nā nā

phir dekh mazā -2

( jhinkat jhinkat jhiṅgillā
jhiṅgillā ) -2
hoy oy hoy oy

oy
pos kā mahīnā ho, mil lūṇ tere bāp se
terā-merā pyār hai kah dūṇ tere bāp se
maiṅ kah dūṇ tere bāp se

hoy oy hoy oy

māgh meṅ taiyārī piyā, phāgun meṅ
phāgun meṅ
phāgun meṅ
maiṅ kaise kahūṇ
phāgun meṅ sigāī ho
terā dil kartā ho yūṇ-yūṇ, āṇkh merī śharmāī ho
jī āṇkh merī śharmāī ho

phir dekh mazā
ik bār tū ban jā merā o pardesī
phir dekh mazā