ham kisko sunāyeṅ hāl
ye duniyā paise kī -2
o nahīṅ pās hamāre māl
ye duniyā paise kī -2
kal hamāre pās bhī baṅglā thā moṭar-kār thī
āj haiṅ śharnārthī ham āj haiṅ śharnārthī
pūchhe na koī hāl
ye duniyā paise kī -2
ham kisko sunāyeṅ hāl
ye duniyā paise kī -2
ham lūṭe aise hamārā āsrā koī nahīṅ
āj duniyā meṅ ġharīboṅ kā khudā koī nahīṅ
dekhā duniyā kā hāl
ye duniyā paise kī -2
ham kisko sunāyeṅ hāl
ye duniyā paise kī -2
kadar bas daulat kī hai duniyā ke is bāzār meṅ
maṅdiroṅ se bank ūṇche ban gaye saṅsār meṅ
ulṭī is jag kī chāl
ye duniyā paise kī -2
ham kisko sunāyeṅ hāl
ye duniyā paise kī -2
kuchh to ai duniyā ke mālik kar ġharīboṅ kā khayāl
bhej halvā bhej pūrī bhej roṭī bhej dāl
kab tak gāye kaṅgāl ye duniyā paise kī -2
ye duniyā paise kī
bhej halvā bhej pūrī bhej roṭī
bhej dāl
bhej roṭī
bhej dāl
bhej pūrī
bhej dāl
bhej