āg kabhī kabhī rośhnī, kahī kahī śhor, raunke
kahīṅ āg āg, kahīṅ dhuāṇ dhuāṇ
kabhī ās pās, kabhī yahāṅ vahāṅ
kabhī śhor ho tum, kabhī maun ho tum, kaun ho tum ?
dard se gahre, soch se uṅche
pyār se ujhle, nakśh tumhāre zahan meṅ mere, dhundle dhundle
khud se anjān hūṇ maiṅ, khud se begnā
kyā dekhtī hai tumhārī nazar mujhko batānā
do āṅkhe hai, āṅkhoṅ meṅ kyā hai
ek chehrā hai, kiskā chehrā hai
pūchho apne dil se pūchho, pūchho havāoṅ se
khoyā khoyā thā duniyā kī rāhoṅ meṅ
tujh se mil ke hūṇ maiṅ khoyā, terī nigāhoṅ meṅ
tumheṅ nām diyā hai maine ek, tumheṅ śhakl de rahā hūṇ maiṅ ab
māsūm nazar, bholā chehrā, haste hue lab, ek śhabd ho tum
koī sach ho tum, yā uljhā huā khayāl ho
philhāl tum ek savāl ho
kyā huā, huā kyā aise kaisī ye halchal hai
badlā huā hai, tere āne se jahāṅ
kuchh nā kaho tum, kyoṅ nā kahūṇ maiṅ
kho nā jāūṇ terī bātoṅ kī bāhoṅ maiṅ
jiskī tasvīr nigāho meṅ, tasvīr meṅ dekhe raṅg kaī
raṅgoṅ meṅ mausam bahār kā, terī jīt kā, merī hār kā
inkār kā, iṅtazār kā, ikrār kā, takrār kā
bhīgā sā ek raṅg pyār kā
kyā ho tum, ye tum batāo tum ne kyā jānā hai
jānā ke tum ho, chalo jānā to sahī
ab to batāo, yūṇ nā satāo
ho nā jāe nā sochā thā khayāloṅ meṅ
terī sādgī anmol hai, kirdār bemisāl hai
tū jo bhī hai lājvāb hai, tū khayāl hai yā ek savāl hai
tere sāmne jo bhī āegā, use tujhse pyār ho hī jāegā