Seene pe rakh ke sar ko kaheen kho gae the ham

सीने पे रख के सर को कहीं खो गए थे हम्
Work
Year
Language

सीने पे रख के सर को कहीं खो गए थे हम
थे इतने करीब के एक हो गए थे हम
सीने पे रख के सर …

मुद्दत की प्यास थी तेरे होंठों का रस पिया
तेरे हसीन जिस्म को नज़रों से छू लिया
जादू बिखेरती थी समंदर की तर हवा
सिंदूर बन गया था हर इक ज़र्रा रेत का
आँखें खुली खुली थीं मगर सो गए थे हम
थे इतने करीब के …

कोई न फ़ासला रहा साँसों के दरमियां
हर बात हो रही थी खामोश थी ज़ुबां
अरमां सिमट रहे थे बहारों की सेज पर
अहसास की गरमी थी दोनों थे बेखबर
दोनों जहां को पल भर भुला तो गए थे हम
थे इतने करीब के …

sīne pe rakh ke sar ko kahīṅ kho gae the ham
the itne karīb ke ek ho gae the ham
sīne pe rakh ke sar …

muddat kī pyās thī tere hoṅṭhoṅ kā ras piyā
tere hasīn jism ko nazroṅ se chhū liyā
jādū bikhertī thī samaṅdar kī tar havā
siṅdūr ban gayā thā har ik zarrā ret kā
āṇkheṅ khulī khulī thīṅ magar so gae the ham
the itne karīb ke …

koī na fāslā rahā sāṇsoṅ ke darmiyāṅ
har bāt ho rahī thī khāmośh thī zubāṅ
armāṅ simaṭ rahe the bahāroṅ kī sej par
ahsās kī garmī thī donoṅ the bekhabar
donoṅ jahāṅ ko pal bhar bhulā to gae the ham
the itne karīb ke …