सीने में सुलगता है दिल ... कैसी है ये अगन्
सीने में सुलगता है दिल ग़म से पिघलता है दिल
जितने भी आँसू हैं बहे उतना ही जलता है दिल
कैसी है ये अगन कैसी है ये जलन
कैसी बारिश हुई जल गया है चमन
कैसा ये सितम हो गया पाया जिसे था वो खो गया
लगता है नसीब मेरा हमेशा के लिए सो गया
कैसी है ये अगन …
मैं हूँ और यादों की हैं परछाईयां
ठोकरें हैं और हैं रुसवाईयां
दूर तक कुछ भी नज़र आता नहीं
हर तरफ़ फैली हैं बस तन्हाईयां
जलते थे जो मेरे लिए बुझ गए वो सारे दिये
तू ही ये बता दे ज़िंदगी कब तक कोई जिये
कैसी है ये अगन …
छा गईं ग़म की घटाएं क्या करूं
रो रहीं हैं ये हवाएं क्या करूं
घोलती थीं रस जो कानों में कभी
खो गई हैं वो सदाएं क्या करूं
जाने अब जाना है कहां
आँखों में है जैसे धुआं
मिलते नहीं हैं रास्ते मिट गए सारे निशां
कैसी है ये अगन …
sīne meṅ sulagtā hai dil ġham se pighaltā hai dil
jitne bhī āṇsū haiṅ bahe utnā hī jaltā hai dil
kaisī hai ye agan kaisī hai ye jalan
kaisī bāriśh huī jal gayā hai chaman
kaisā ye sitam ho gayā pāyā jise thā vo kho gayā
lagtā hai nasīb merā hameśhā ke lie so gayā
kaisī hai ye agan …
maiṅ hūṇ aur yādoṅ kī haiṅ parchhāīyāṅ
ṭhokreṅ haiṅ aur haiṅ rusvāīyāṅ
dūr tak kuchh bhī nazar ātā nahīṅ
har taraf phailī haiṅ bas tanhāīyāṅ
jalte the jo mere lie bujh gae vo sāre diye
tū hī ye batā de ziṅdgī kab tak koī jiye
kaisī hai ye agan …
chhā gaīṅ ġham kī ghaṭāeṅ kyā karūṅ
ro rahīṅ haiṅ ye havāeṅ kyā karūṅ
gholtī thīṅ ras jo kānoṅ meṅ kabhī
kho gaī haiṅ vo sadāeṅ kyā karūṅ
jāne ab jānā hai kahāṅ
āṇkhoṅ meṅ hai jaise dhuāṅ
milte nahīṅ haiṅ rāste miṭ gae sāre niśhāṅ
kaisī hai ye agan …