tū pyār kā sāgar hai
terī ik būṇd ke pyāse ham
lauṭā jo diyā tumne, chale jāyeṅge jahāṇ se ham
tū pyār kā sāgar hai …
ghāyal man kā, pāgal paṅchhī uṛne ko beqrār
paṅkh haiṅ komal, āṇkh hai dhuṇdhlī, jānā hai sāgar pār
jānā hai sāgar pār
ab tū hi ise samjhā, rāh bhūle the kahān se ham
tū pyār kā sāgar hai …
idhar jhūmtī gāye ziṅdgī, udhar hai maut khaṛī
koī kyā jāne kahāṇ hai sīmā, uljhan ān paṛī
uljhan ān paṛī
kānoṅ meṅ zarā kah de, ki āye kaun diśhā se ham
tū pyār kā sāgar hai …