suno chhoṭī sī guṛiyā kī lambī kahānī -2
jaise tāroṅ kī bāt sune rāt suhānī
suno chhoṭī sī …
jiskī qismat meṅ ġham ke bichhaune the
āṇsū hī khilaune the
dard kī khuśhiyāṇ thīṅ dukh bharī aṇkhiyāṇ thīṅ
ghar bhī na thā koī aur dar bhī na thā koī
bhare āṇchal meṅ ġham chhipāe āṇkhoṅ meṅ pānī
suno chhoṭī sī …
dil meṅ ye armān the ik chhoṭā sā baṅglā ho
chāṇdī kī dīvāreṅ ho aur sone kā jaṅglā ho
khel hoṅ jīvan ke yahāṇ mel hoṅ jīvan ke -2 ho
gayā bachapan to āṇsū bharī āī javānī
suno chhoṭī sī …
chāṇd kā ḍolā ho bijlī kā bājā ho
ḍole pe rānī ho ghoṛe pe rājā ho
pyār ke raste hoṅ aur phūl baraste hoṅ -2 ho
bannā chāhtī thī ik din vo tāroṅ kī rānī
suno chhoṭī sī …
ṭūṭ gae pal bhar meṅ sapnoṅ ke motī bhī
luṭ gaī jyoti bhī
rah gae andhere ujaṛe hue sabere
bāt yah pūrī thī phir bhī adhūrī thī -2 ho
hogā anjām kyā khabar kuchh bhī na jānī
suno chhoṭī sī …
āī khuśhiyāṇ bhī pyār kī rātoṅ par
iṭhlātī havāoṅ par
ġham ke haṭe bādal chāṇd banī pāyal
jam ke bahāreṅ āīṅ aur jhūm ke lahrāīṅ -2 ho
hṇse āṇchal meṅ tāre rut āī suhānī
suno chhoṭī sī …
sach hue ākhir armān bhare sapne
gīt banīṅ āheṅ aur ban gae sab apne
gair kī duniyā aur ban gae sab apne
yah hai jīvan kī gati aur dil kī javānī
suno chhoṭī sī …
suno chhoṭī sī guṛiyā kī kahānī