Seelee havaa chhoo gaee, seelaa badan chhil gayaa

सीली हवा छू गई, सीला बदन छिल गया
Work
Year
Language

सीली हवा छू गई
सीला बदन छिल गया
नीली नदी के परे
गीला सा चांद खिल गया

तुम से मिली जो ज़िन्दगी
हमने अभी बोई नहीं
तेरे सिवा कोई न था
तेरे सिवा कोई नहीं
सीली हवा छू गई …

जाने कहाँ कैसे शहर
लेके चला ये दिल मुझे
तेरे बगैर दिन ना जला
तेरे बगैर शब ना बुझे
सीली हवा छू गई …

जितने भी तय करते गये
बढ़ते गये ये फ़ासले
मीलों से दिन छोड़ आये
सालों से रात लेके चले
सीली हवा छू गई

sīlī havā chhū gaī
sīlā badan chhil gayā
nīlī nadī ke pare
gīlā sā chāṅd khil gayā

tum se milī jo zindgī
hamne abhī boī nahīṅ
tere sivā koī na thā
tere sivā koī nahīṅ
sīlī havā chhū gaī …

jāne kahāṇ kaise śhahar
leke chalā ye dil mujhe
tere bagair din nā jalā
tere bagair śhab nā bujhe
sīlī havā chhū gaī …

jitne bhī tay karte gaye
baṛhte gaye ye fāsle
mīloṅ se din chhoṛ āye
sāloṅ se rāt leke chale
sīlī havā chhū gaī