vaqt ke ḍhāṇche meṅ apnī ziṅdgī ko ḍhāl kar
muskurāo maut kī āṇkhoṅ meṅ āṇkheṅ ḍāl kar
patthar se śhīśhā ṭakrā ke, vo kahte haiṅ dil ṭūṭe na
us dhan kī kīmat kuchh bhī nahīṅ, jis dhan ko luṭerā lūṭe na
do āṇkhoṅ ke ṭakrāne se
afsāne bante haiṅ lekin
kuchh aise fasāne haiṅ jinkā
kāṇṭoṅ se dāman chhūṭe na
patthar se śhīśhā ṭakrā ke …
āṇkhoṅ kā iśhārā dhokhā thā
bātoṅ kā sahārā dhokhā thā
ab ġham meṅ dil ḍūbe lekin
mṇjhdhār se nātā ṭūṭī na
patthar se śhīśhā ṭakrā ke …
tūfāṇ meṅ chalte rahnā hai
śholoṅ meṅ jalte rahnā hai
vo maṅzil kyā jis maṅzil pe
pairoṅ ke chhāle phūṭe na
patthar se śhīśhā ṭakrā ke …