ka: tū panchhī, pardesī, tū jogī hai ke jādūgar
ma: inmeṅ se koī bhī nahīṅ, maiṅ sapnoṅ kā saudāgar
ka: saudāgar, saudāgar, dil le le, dil dekar
dil le le, dil dekar
ma: soch samajh le, bād meṅ na pachhtānā ye kah kar
saudāgar, saudāgar, dil le le, dil dekar
ma: hāth kisī kā vo pakaṛe jo chhoṛe jag sārā
tū ūṇche mahloṅ-vālī, maiṅ beghar baṅjārā
ka: ek dūje ke dil meṅ raheṅge kyā karnā hai ghar
saudāgar, saudāgar, dil le le, dil dekar
dil le le, dil dekar
ma: tere sāth maiṅ kaise, pyār kā vādā kar lūṇ
aisā koī vādā kar, maiṅ tujhpe bharosā kar lūṇ
ka: jo chāhe likhvāle mujhse kore kāgaz par
saudāgar, saudāgar, dil le le, dil dekar
dil le le, dil dekar
ma: dil to hai, par dilke armān kahāṇ se lāūṇ
ḍolī, sahrā, kaṅgan, sab sāmān kahāṇ se lāūṇ
ka: thoṛā sā sindūr kahīṇ se le ā, bas jākar
saudāgar, saudāgar, dil le le, dil dekar
dil le le, dil dekar
ma: soch samajh le, bād meṅ na pachhtānā ye kah kar
saudāgar, saudāgar, dil le le, dil dekar