Sau baar janam lenge, sau baar fanaa honge

सौ बार जनम लेंगे, सौ बार फ़ना होंगे
Year
Language

सौ बार जनम लेंगे, सौ बार फ़ना होंगे
ऐ जान-ए-वफ़ा फिर भी, हम तुम न जुदा होंगे

क़िस्मत हमे मिलने से, रोकेगी भला कब तक
इन प्यार की राहों में, भटकेगी वफ़ा कब तक
क़दमों के निशाँ खुद ही, मंज़िल का पता होंगे

ये कैसी उदासी है, जो हुस्न पे छाई है
हम दूर नहीं तुम से, कहने को जुदाई है
अरमान भरे दो दिल, फिर एक जगह होंगे

sau bār janam leṅge, sau bār fanā hoṅge
ai jān-e-vafā phir bhī, ham tum na judā hoṅge

qismat hame milne se, rokegī bhalā kab tak
in pyār kī rāhoṅ meṅ, bhaṭkegī vafā kab tak
qadmoṅ ke niśhāṇ khud hī, maṅzil kā patā hoṅge

ye kaisī udāsī hai, jo husn pe chhāī hai
ham dūr nahīṅ tum se, kahne ko judāī hai
armān bhare do dil, phir ek jagah hoṅge