buappā -3
ma: zindgī hai kyā bolo zindgī hai kyā
ko: zindgī hai kyā bolo
ki: zindgī hai laṭṭū -2
chāhe jahāṇ nachā lo chāhe jidhar ghumā lo
bhāṛe kā jaise ṭaṭṭū laṭṭū
zindgī hai laṭṭū
zindgī hai laṛkī
ko: laṛkī
ki: zindgī hai laṛkī
ma: laṛkī kā nām mat lo
ki: kyoṅ
ma: uskā salām mat lo
ki: kyoṅ
ma: laṛkī banāe kaṛkī laṛkī
ko: zindgī hai laṛkī -2
laṛkī kā nām mat lo
ki: mat lo
ko: uskā salām mat lo
ki: mat lo
ma: laṛkī banāe kaṛkī
mu: laṭṭū nahīṅ hai laṛkī nahīṅ hai
zindgī hai sachchāī
miṭṭī kī mūrat jab sach bolī ādmī tab kahlāī
ādmī hai kyā bolo ādmī hai kyā
ko: ādmī hai kyā …
ki: ādmī hai bandar
roṭī uṭhāke bhāge kapaṛe churāke bhāge
kahlāe vo sikandar bandar
ādmī hai bandar
ko: ādmī hai bandar
ma: ādmī hai charkhā
are chūṇ chūṇ hameśhā bole ghoṅ ghoṅ hameśhā ḍole
rukte kabhī na dekhā
dekhā ādmī hai charkhā
mu: bandar nahīṅ hai charkhā nahīṅ hai
ādmī kā kyā kahnā
pyār-mohabbat fitarat uskī dostī mazhab uskā
dostī hai kyā bolo dostī hai kyā
ko: dostī hai kyā …
ki: dostī hai moṭar are dostī hai moṭar
sab jismeṅ ghūmte haiṅ
ma: mastī meṅ jhūmte haiṅ
ki: jab tak ki ho na paṅchar
ko: dostī hai moṭar
ma: dostī hai lassī uhūṇ āhūṇ
dostī hai lassī
oye pī lo zarā na chhoṛo bhūl se bhī na toṛo
jādū kī hai ye rassī
ko: dostī hai rassī
mu: lassī nahīṅ hai rassī nahīṅ hai
dostī dil kī dhaṛkan
duśhmnī sahrā-sahrā gar dostī gulaśhan-gulaśhan
ko: dostī gulaśhan-gulaśhan
buappā -3
uhūṇ āhūṇ