Sarkaae liyo khatiyaa jaaraa lage

सरकाए लियो खटिया जाड़ा लगे
Work
Year
Language

सरकाए लियो खटिया जाड़ा लगे
जाड़े में बलमा प्यारा लगे
सरकाए लियो तकिया जाड़ा लगे
जाड़े में बलमा …

गरमी में माथे से टपके पसीना
भाए न बारिश का टिप टिप महीना
सुई चुभे या शोला सा भड़के
माने न बैरी जियरा मोरा धड़के
ठुकराए नहीं बतिया जाड़ा लगे
सरकाए लियो खटिया …

पड़ने लगी है कड़ाके की सर्दी
कितना सताए है मौसम बेदर्दी
ऐसे में कैसे सहें हम जुदाई
बाहों में लेके ओढ़ा दो रजाई
तरसाए बैठी रतिया जाड़ा लगे
सरकाए लियो तकिया …

sarkāe liyo khaṭiyā jāṛā lage
jāṛe meṅ balmā pyārā lage
sarkāe liyo takiyā jāṛā lage
jāṛe meṅ balmā …

garmī meṅ māthe se ṭapke pasīnā
bhāe na bāriśh kā ṭip ṭip mahīnā
suī chubhe yā śholā sā bhaṛke
māne na bairī jiyrā morā dhaṛke
ṭhukrāe nahīṅ batiyā jāṛā lage
sarkāe liyo khaṭiyā …

paṛne lagī hai kaṛāke kī sardī
kitnā satāe hai mausam bedardī
aise meṅ kaise saheṅ ham judāī
bāhoṅ meṅ leke oṛhā do rajāī
tarsāe baiṭhī ratiyā jāṛā lage
sarkāe liyo takiyā …