chi: suṇo śhāb, suṇo śhāb, o bhāī suṇo
apne des sū nikle the ham le ke luṭiyā-ḍorī
kauṛī-kauṛī joṛī ban gaye lālā āj karoṛī
mhāro nām seṭh karoṛī
pās hamāre hatthī ghoṛā phalṭan fauj siphiyā
lekin aise kaise baṇe ham
ra: bol dūṇ bāpū
chi: bol de beṭā
ra: ( bāp bhalā na bhaiyā bhaiyā
sabse bhalā rupaiyā ) -2
do: sabse bhalā rupaiyā, hāy rupaiyā hāy rupaiyā
bhaiyā sabse bhalā rupaiyā
ra: bāp bhalā na bhaiyā bhaiyā
sabse bhalā rupaiyā
chi: ho ( rupay se sab bante haiṅ kām
duniyā hai rupye kī ġhulām ) -2
jhūṭo rām-ramaiyā bhaiyā -2
sabse bhalā rupaiyā
do: ( bāp bhalā na bhaiyā bhaiyā
sabse bhalā rupaiyā ) -2
ra: bāpū ho bāpū
chi: are kī hai barakhurdār
ra: kahnā to nahīṅ chāhiye lekin kyā karūṇ hūṇ lāchār
chi: kī hai bol bhī
ra: o khetoṅ ke us pār -2
rahtī hai gorī gorī, ġharīb kisān kī chhorī
mujhe hai isse pyār bāpū mujhe hai isse pyār
chi: hāy, kī kahe, kī kahe, pyār kī hoy āṇy pyār kī hoy
ham to ek hī bāt jāṇe
la: bol dūṇ bāpū
chi: bol de beṭā
la: bāp bhalā na bhaiyā bhaiyā
sabse bhalā rupaiyā
do: bāp bhalā na bhaiyā bhaiyā
sabse bhalā rupaiyā
la: o jhūṭhī hai sab prīt-muhabbat
duniyā meṅ sachchī hai daulat
jhūṭhī hai sab prīt-muhabbat
jhūṭhī hai sab prīt-muhabbat
duniyā meṅ sachchī hai daulat
chi: hamrī jīvan-naiyā ko bas
paiśho pār lagaiyā bhaiyā paiśho pār lagaiyā
hamrī jīvan-naiyā ko bas
paiśho pār lagaiyā bhaiyā
sabse bhalā rupaiyā
do: ( bāp bhalā na bhaiyā bhaiyā
sabse bhalā rupaiyā ) -2
ra: ṭhīk hai bāpū, maiṅ jātā hūṇ
āp to jāneṅ haiṅ maiṅ beqsūr hūṇ
liken majbūr hūṇ
chi: are kaṭhe jāye, kaṭhe jāy, merī bāt bhī to suṇ
chi: terī khātir dekhī hai ek rājkumārī, hai ek rājkumārī
jā ghoṛā lay ā -2
kar jāṇe kī taiyārī -2
hīre kī hṇslī daūṇgo, motī ko hār daūṇgo
lekin badle meṅ rājā se, ek-ek ke hajār laūṇgo
ra: kyā śhādī bhī hai byopār
chi: hāṇ beṭā, ek-ek ke baṇe hajār
ī kalmuṇhī ko chhoṛ, tū pyār se muṇh moṛ
are paise se nātā joṛ
ra: ṭhīk hai bāpū, māntā hūṇ maiṅ āpkī bāt
lāiye vo jevrāt
chi: leh le, baṛhā doū hāth, e ghoṛā lāo ghoṛo
ra: bāpū jī rām-rām
hamne banā liyā hai kām -2
āp jaise bāp kī sūrat bhī dekhnī hai harām -2
la: jo beṭe ke lagāte haiṅ dām, aur karte haiṅ bīch bazār nilām
chi: e e e kī kahe, kī kahe
hamārī sārī umar kī kamāī gaī, chhoṛo re
hāy daiyā
la: bol dūṇ bāpū
chi: hāṇ hāṇ bol de beṭā
do: ( bāp bhalā na bhaiyā bhaiyā
sabse bhalā rupaiyā ) -2
sabse bhalā rupaiyā, hāy rupaiyā, hāy rupaiyā
bhaiyā sabse bhalā rupaiyā
sabse bhalā rupaiyā, hāy rupaiyā, hāy rupaiyā