Sapnon ke des men ... to maine kahaa haan haan ye pyaar hai

सपनों के देस में ... तो मैने कहा हां हां ये प्यार है
Work
Year
Language

सपनों के देस में पलकों की छांव में
प्यार के नाम का वो जो इक मोड़ है
हां उसी मोड़ पर मैने देखा तुम्हें
तो मुझको लगा
तुम तो खिलती कली तुम हो चंचल किरन
छलकी छलकी नदी महका महका चमन
तुमसे है ताज़गी तुमसे है ज़िंदगी
तो मैने कहा
हां हां ये प्यार है
और अब तो खुलके मुझको इकरार है
मैं दीवाना हूं मुझे प्यार है
सुन ले दिलरुबा

मैं तो हैरान हूं क्‌या कहूं क्‌या करूं
ज़ुल्फ़ या रात है चेहरा या चाँदनी
होंठ या फूल हैं बात या रागिनी
किसे है पता
ऐ हसीं ऐ हसीं दिलरुबा दिलनशीं
मेरे दिल में है क्‌या तुम नहीं जानतीं
कबसे ख़ामोश हूं सोचता हूं कहूं
जो ना कह सक
हां हां ये प्यार है …

sapnoṅ ke des meṅ palkoṅ kī chhāṅv meṅ
pyār ke nām kā vo jo ik moṛ hai
hāṅ usī moṛ par maine dekhā tumheṅ
to mujhko lagā
tum to khiltī kalī tum ho chaṅchal kiran
chhalkī chhalkī nadī mahkā mahkā chaman
tumse hai tāzgī tumse hai ziṅdgī
to maine kahā
hāṅ hāṅ ye pyār hai
aur ab to khulke mujhko ikrār hai
maiṅ dīvānā hūṅ mujhe pyār hai
sun le dilrubā

maiṅ to hairān hūṅ k‌yā kahūṅ k‌yā karūṅ
zulf yā rāt hai chehrā yā chāṇdnī
hoṅṭh yā phūl haiṅ bāt yā rāginī
kise hai patā
ai hasīṅ ai hasīṅ dilrubā dilanśhīṅ
mere dil meṅ hai k‌yā tum nahīṅ jāntīṅ
kabse khāmośh hūṅ sochtā hūṅ kahūṅ
jo nā kah sak
hāṅ hāṅ ye pyār hai …