dūr na jā, mujhse, pās ā
merā tan pyāsā, man pyāsā
nahīṅ mujhko chain zarā sā
mere aṅg aṅg meṅ aṅgāre …
sulagtī sāṇseṅ tarastī bāheṅ haiṅ merī
jahāṇ bhī tū hai, vahīṅ nigāheṅ haiṅ merī
hai chāṇd jaisā, ye chehrā terā, badan terā sūraj
to phir ye kyoṅ hai, ki yūṇ andherī
sārī rāteṅ haiṅ merī
tere ye ujāle maiṅ bāhoṅ meṅ bhar lūṇ
tujhe chhū ke khud ko amar āj kar lūṇ
machal rahā hai dil merā
dūr na jā …
kabhī to hogā, ye hāth mere hāthoṅ meṅ
kabhī to chhalkegā, pyār terī bātoṅ meṅ
kabhī to pighleṅge, tere tan-man mere qarīb āke
kabhī to ṭūṭeṅge sāre bandhan, mahkī mahkī rātoṅ meṅ
terī ārazū meṅ, jo kartā hūṇ jānam
na jītā hūṇ jānam, na martā hūṇ jānam
taṛap rahā hai dil merā
dūr na jā …