Sansaar se bhaage phirte ho, bhagvaan ko tum kyaa paaoge

संसार से भागे फिरते हो, भगवान को तुम क्या पाओगे
Year
Language

संसार से भागे फिरते हो, भगवान को तुम क्या पाओगे
इस लोक को भी अपना न सके, उस लोक में भी पछताओगे

ये पाप है क्या, ये पुण्य है क्या, रीतोंपर धर्म की मोहरें हैं
हर युग में बदलते धर्मोंको कैसे आदर्श बनाओगे

ये भोग भी एक तपस्या है, तुम त्याग के मारे क्या जानो
अपमान रचेता का होगा, रचना को अगर ठुकराओगे

हम कहते हैं ये जग अपना है, तुम कहते हो झूठा सपना है
हम जनम बिता कर जायेंगे, तुम जनम गँवा कर जाओगे

saṅsār se bhāge phirte ho, bhagvān ko tum kyā pāoge
is lok ko bhī apnā na sake, us lok meṅ bhī pachhtāoge

ye pāp hai kyā, ye puṇy hai kyā, rītoṅpar dharm kī mohreṅ haiṅ
har yug meṅ badalte dharmoṅko kaise ādarśh banāoge

ye bhog bhī ek tapasyā hai, tum tyāg ke māre kyā jāno
apmān rachetā kā hogā, rachnā ko agar ṭhukrāoge

ham kahte haiṅ ye jag apnā hai, tum kahte ho jhūṭhā sapnā hai
ham janam bitā kar jāyeṅge, tum janam gṇvā kar jāoge