o mere sanam, o mere sanam
do jism magar ek jān haiṅ ham
ek dil ke do armān haiṅ ham
tan sauṅp diyā, man sauṅp diyā, kuchh aur to mere pās nahīṅ
jo tum se hai mere hamdam bhagvān se bhī vo ās nahīṅ
jis din se huye ek dūje ke, is duniyā se anjān haiṅ ham
sunte haiṅ pyār kī duniyā meṅ, do dil muśhkil se samāte haiṅ
kyā gair vahāṇ apnoṅ tak ke sāye bhī nā āne pāte haiṅ
ham ne ākhir kyā dekh liyā, kyā bāt hai kyoṅ hairān haiṅ ham
mere apne apnā ye milan saṅgam hai ye gaṅgā jamunā kā
jo sach hai sāmne āyā hai, jo bīt gayā ek sapnā thā
ye dhartī hai insānoṅ kī, kuchh aur nahīṅ insān haiṅ ham