Sanbhal ke karnaa jo bhee karnaa naazuk haathon vaale

संभल के करना जो भी करना नाज़ुक हाथों वाले
Year
Language

संभल के करना जो भी करना नाज़ुक हाथों वाले
लचक न जाए नरम कलाई पड़ न जाएँ छाले
संभल के करना …

हटा के परदे निकल पड़े हो
मुक़ाबला क्‌या तुम ही बड़े हो
मगर ऐ जानां इधर तो देखो हम भी हैं दिलवाले -2
संभल के करना …

सलोनी चितवन अदाएँ क़ातिल
वो लुट गया जो हुआ मुक़ाबिल
ये तिरछी-तिरछी नज़र तुम्हारी हमको मार न डाले -2
लचक न जाए …

तने हैं तेवर चढ़ा है पारा
तुम्हारा ग़ुस्सा भी जाँ से प्यारा
रूप का जादू जब चढ़ जाए दिल को कौन संभाले -2
संभल के करना …

saṅbhal ke karnā jo bhī karnā nāzuk hāthoṅ vāle
lachak na jāe naram kalāī paṛ na jāeṇ chhāle
saṅbhal ke karnā …

haṭā ke parde nikal paṛe ho
muqāblā k‌yā tum hī baṛe ho
magar ai jānāṅ idhar to dekho ham bhī haiṅ dilvāle -2
saṅbhal ke karnā …

salonī chitavan adāeṇ qātil
vo luṭ gayā jo huā muqābil
ye tirchhī-tirchhī nazar tumhārī hamko mār na ḍāle -2
lachak na jāe …

tane haiṅ tevar chaṛhā hai pārā
tumhārā ġhussā bhī jāṇ se pyārā
rūp kā jādū jab chaṛh jāe dil ko kaun saṅbhāle -2
saṅbhal ke karnā …