Sanbhaalaa hai maine bahot apne dil ko

संभाला है मैने बहोत अपने दिल को
Work
Year
Language

संभाला है मैने बहोत अपने दिल को
ज़ुबान पर तेरा फिर भी नाम आ रहा है
जहा राज को छुपाया ना जाये
मोहब्बत में ऐसा मकाम आ रहा है

बनाया है मैने तुझे अपना साथी
रहे किस तरह फिर मेरे होश बाकी
नज़र यू बहकने लगी है के जैसे
मेरे सामने कोई जाम आ रहा है

ये ज़ुल्फों के बादल घनेरे, घनेरे
मेरे बाजूओं पर जो तू ने बिखेरे
मैं समझा के जैसे मेरी धड़कनों को
तेरी धड़कनों का पयाम आ रहा है

saṅbhālā hai maine bahot apne dil ko
zubān par terā phir bhī nām ā rahā hai
jahā rāj ko chhupāyā nā jāye
mohabbat meṅ aisā makām ā rahā hai

banāyā hai maine tujhe apnā sāthī
rahe kis tarah phir mere hośh bākī
nazar yū bahakne lagī hai ke jaise
mere sāmne koī jām ā rahā hai

ye zulphoṅ ke bādal ghanere, ghanere
mere bājūoṅ par jo tū ne bikhere
maiṅ samjhā ke jaise merī dhaṛaknoṅ ko
terī dhaṛaknoṅ kā payām ā rahā hai