Sanam tum ham pe marte ho muhabbat tum bhee

सनम तुम हम पे मरते हो मुहब्बत तुम भी
Work
Year
Language

शरमीली आँखों ने नीची निगाहों ने चुपके से ये कह दिया
सनम तुम हम पे मरते हो मुहब्बत तुम भी करते हो
मगर पोशीदा पोशीदा
सनम तुम हम पे …

ये जो मुहब्बत है जैसे क़यामत है देखा तो क्‌या हो गया
के देखें ख्वाब हैं जबसे हमारी आँखें हैं तबसे
बड़ी ख्वाबीदा ख्वाबीदा
सनम तुम हम पे …

सुना है तुम तो हो दीवाने सुनो तो मेरे दिल के तराने
सुना के फिर लगे दोहराने सुने हैं तुमने कब ये फ़साने
तुमको सुनानी है क्‌या वो कहानी है हमको है इसका पता
इन्हीं बातों ने छीना दिल हसीं जलवे अदा क़ातिल
नज़र दुस्बीदा दुस्बीदा
सनम तुम हम पे …

कभी तुम हमसे दूर न जाना कभी तुम इतने पास न आना
कभी तुम दिल को ना ठुकराना कभी तुम दिल को भी समझाना
जानो नहीं जानो मानो नहीं मानो हम तो करेंगे वफ़ा
चलो अब यूं भी ना रूठो कि हमने छेड़ा था तुमको
न हो रंजीदा रंजीदा
सनम तुम हम पे …

śharmīlī āṇkhoṅ ne nīchī nigāhoṅ ne chupke se ye kah diyā
sanam tum ham pe marte ho muhabbat tum bhī karte ho
magar pośhīdā pośhīdā
sanam tum ham pe …

ye jo muhabbat hai jaise qayāmat hai dekhā to k‌yā ho gayā
ke dekheṅ khvāb haiṅ jabse hamārī āṇkheṅ haiṅ tabse
baṛī khvābīdā khvābīdā
sanam tum ham pe …

sunā hai tum to ho dīvāne suno to mere dil ke tarāne
sunā ke phir lage dohrāne sune haiṅ tumne kab ye fasāne
tumko sunānī hai k‌yā vo kahānī hai hamko hai iskā patā
inhīṅ bātoṅ ne chhīnā dil hasīṅ jalve adā qātil
nazar dusbīdā dusbīdā
sanam tum ham pe …

kabhī tum hamse dūr na jānā kabhī tum itne pās na ānā
kabhī tum dil ko nā ṭhukrānā kabhī tum dil ko bhī samjhānā
jāno nahīṅ jāno māno nahīṅ māno ham to kareṅge vafā
chalo ab yūṅ bhī nā rūṭho ki hamne chheṛā thā tumko
na ho raṅjīdā raṅjīdā
sanam tum ham pe …