dil javāṅ hai ārzū javāṅ
ek nazar idhar bhī maharbāṅ
kab talak ye hamse berukhī
kab talak rahegī chup zubāṅ
ye kyā ġhazab hai dilrubā hai apne āp se khafā
ḍharī rahegī har adā jo dil kisīpe ā gayā
ġhurūr-e-dil rahegā phir kahāṇ
ik nazar idhar bhī …
vo husn kyā jo rūṭhke nigāh ko na pher le
vo iśhq kyā jo chheṛke na zulf ko bikher de
vo soz kyā uṭhe na jo dhuāṇ
ik nazar idhar bhī …
maiṅ jāntā hūṇ hai fareb ye jhukī nazar terī
uṭhī to hār jāyegī zarūr muskurāegi
na chhup sakegī dil kī dāstān
ik nazar idhar bhī …