Title (Indic)ये ख़ामोशियाँ ये समाँ ये तारों भरा आसमाँ WorkSamrat Year1954 LanguageHindi Credits Role Artist Music Hemant Kumar Performer Asha Bhosle Performer Lata Mangeshkar Writer Rajendra Krishan LyricsHindiये ख़ामोशियाँ ये समाँ ये तारों भरा आसमाँ न जाने कहाँ ले चलीं हाय तक़दीर की कश्तियाँ हमने समझा जिसे आसरा आँख खोली तो इक ख़्वाब था क्या कहें किस तरह लुट गया दिल की राहों में ये कारवाँ ये ख़ामोशियाँ … हम वही हैं वही रात है पर न पहली सी वो बात है है चमन की कली भी वही बाग़बाँ पर नहीं मेहरबाँ ये ख़ामोशियाँ … ऐ मेरे प्यार की ज़िन्दगी आरज़ू अब तेरी छोड़ दी आ गले मिल के हो लें जुदा ख़त्म होने लगी दास्ताँ ये ख़ामोशियाँ … ये ख़ामोशियाँ ये समाँ ये तारों भरा आसमाँ न जाने कहाँ ले चलीं हाय तक़दीर की कश्तियाँ ये कैसी बजी बाँसुरी मचलने लगी ज़िन्दगी कोई आवाज़ दे के मुझे छुप गया है न जाने कहाँ ये ख़ामोशियाँ … चाँदनी रात का ये सफ़र ख़त्म होगा कहाँ क्या ख़बर ऐ मेरे हमसफ़र ये बता जा रही हैं ये मौजें कहाँ ये ख़ामोशियाँ … Englishye khāmośhiyāṇ ye samāṇ ye tāroṅ bharā āsmāṇ na jāne kahāṇ le chalīṅ hāy taqdīr kī kaśhtiyāṇ hamne samjhā jise āsrā āṇkh kholī to ik khvāb thā kyā kaheṅ kis tarah luṭ gayā dil kī rāhoṅ meṅ ye kārvāṇ ye khāmośhiyāṇ … ham vahī haiṅ vahī rāt hai par na pahlī sī vo bāt hai hai chaman kī kalī bhī vahī bāġhbāṇ par nahīṅ meharbāṇ ye khāmośhiyāṇ … ai mere pyār kī zindgī ārazū ab terī chhoṛ dī ā gale mil ke ho leṅ judā khatm hone lagī dāstāṇ ye khāmośhiyāṇ … ye khāmośhiyāṇ ye samāṇ ye tāroṅ bharā āsmāṇ na jāne kahāṇ le chalīṅ hāy taqdīr kī kaśhtiyāṇ ye kaisī bajī bāṇsurī machalne lagī zindgī koī āvāz de ke mujhe chhup gayā hai na jāne kahāṇ ye khāmośhiyāṇ … chāṇdnī rāt kā ye safar khatm hogā kahāṇ kyā khabar ai mere hamasafar ye batā jā rahī haiṅ ye maujeṅ kahāṇ ye khāmośhiyāṇ …