Sambhal to le dil deevaanaa zaraa thahar jaanaa

सम्भल तो ले दिल दीवाना ज़रा ठहर जाना
Year
Language

ठहर जाना
सम्भल तो ले दिल दिवाना ज़रा ठहर जाना -2
अभी न सामने आना ज़रा ठहर जाना
सम्भल तो ले

मैं गुज़री उम्र को वापस ज़रा पुकार तो लूँ
मैं अपने आप को थोड़ा बहुत सँवार तो लूँ
लिबास ग़म का निगाहों से मैं उतार तो लूँ
समाँ तो हो ले सुहाना ज़रा ठहर जाना
अभी न सामने आना ज़रा ठहर जाना
सम्भल तो ले

ख़ुशी भी इतनी अचानक मैं सह न पाऊँगी
मैं अपने आप में बस आज रह न पाऊँगी
जो तुम से कहना है मुझको वो कह न पाऊँगी
मैं याद कर लूँ फ़साना ज़रा ठहर जाना
अभी न सामने आना ज़रा ठहर जाना
सम्भल तो ले दिल दिवाना ज़रा ठहर जाना
सम्भल तो ले

ṭhahar jānā
sambhal to le dil divānā zarā ṭhahar jānā -2
abhī na sāmne ānā zarā ṭhahar jānā
sambhal to le

maiṅ guzrī umr ko vāpas zarā pukār to lūṇ
maiṅ apne āp ko thoṛā bahut sṇvār to lūṇ
libās ġham kā nigāhoṅ se maiṅ utār to lūṇ
samāṇ to ho le suhānā zarā ṭhahar jānā
abhī na sāmne ānā zarā ṭhahar jānā
sambhal to le

khuśhī bhī itnī achānak maiṅ sah na pāūṇgī
maiṅ apne āp meṅ bas āj rah na pāūṇgī
jo tum se kahnā hai mujhko vo kah na pāūṇgī
maiṅ yād kar lūṇ fasānā zarā ṭhahar jānā
abhī na sāmne ānā zarā ṭhahar jānā
sambhal to le dil divānā zarā ṭhahar jānā
sambhal to le