Samay o dheere chalo, bujh gaee raah se chhaanv

समय ओ धीरे चलो, बुझ गई राह से छाँव्
Work
Year
Language

समय ओ धीरे चलो
बुझ गई राह से छाँव
दूर है दूर है पी का गाँव
धीरे चलो धीरे चलो

जी को बहला लिया
तूने आस निराश का खेल किया - 2
चार दिनों में कोई जिया ना जिया - 2
ज़हर ये साँस का पिया ना पिया - 2

ये हवा सब ले गई
कारवां के निशां भी उड़ा ले गई
उड़ती हवाओं वाले मिलेंगे कहाँ - 2
कोई बता दो मेरे पिया का निशाँ - 2

समय ओ धीरे चलो
बुझ गई राह से छाँव
दूर है, दूर है पी का गाँव
धीरे चलो धीरे चलो

samay o dhīre chalo
bujh gaī rāh se chhāṇv
dūr hai dūr hai pī kā gāṇv
dhīre chalo dhīre chalo

jī ko bahlā liyā
tūne ās nirāśh kā khel kiyā - 2
chār dinoṅ meṅ koī jiyā nā jiyā - 2
zahar ye sāṇs kā piyā nā piyā - 2

ye havā sab le gaī
kārvāṅ ke niśhāṅ bhī uṛā le gaī
uṛtī havāoṅ vāle mileṅge kahāṇ - 2
koī batā do mere piyā kā niśhāṇ - 2

samay o dhīre chalo
bujh gaī rāh se chhāṇv
dūr hai, dūr hai pī kā gāṇv
dhīre chalo dhīre chalo