Samajh saken naa log sayaane ... ishq kaa rutbaa ishq hee jaane

समझ सकें ना लोग सयाने ... इश्क़ का रुतबा इश्क़ ही जाने
Work
Year
Language

समझ सकें ना लोग सयाने
इश्क़ का रुतबा रुतबा इश्क़ ही जाने

इस दुनिया का खेल रचाया इश्क़ की खातिर आप खुदा ने
इश्क़ का रुतबा …

दुनिया भुला दी इश्क़ ने अपनी मना दी इश्क़ ने
दिलवाले जल गए शौक़ से जब आग लगा दी इश्क़ ने
जोगी बना दे इश्क़ इश्क़ रोगी बना दे इश्क़ इश्क़
सूली चढ़ाए इश्क़ इश्क़ जीना सिखा दे इश्क़ इश्क़
जिसको दिया दिल जां भी उसी को दो
जलके कहें परवाने
इश्क़ का रुतबा …

किस्सा पुराना इश्क़ का दुश्मन ज़माना इश्क़ का
जिसको लगा मजनूं बना उलटा निशाना इश्क़ का
नींदे चुरा ले इश्क़ इश्क़ रातें जगा दे इश्क़ इश्क़
जी को जलाए इश्क़ इश्क़ पागल बना दे इश्क़ इश्क़
जितने भी लाया दुख शिकवा कभी ना करें
चुप ही रहें दीवाने
इश्क़ का रुतबा …

samajh sakeṅ nā log sayāne
iśhq kā rutbā rutbā iśhq hī jāne

is duniyā kā khel rachāyā iśhq kī khātir āp khudā ne
iśhq kā rutbā …

duniyā bhulā dī iśhq ne apnī manā dī iśhq ne
dilvāle jal gae śhauq se jab āg lagā dī iśhq ne
jogī banā de iśhq iśhq rogī banā de iśhq iśhq
sūlī chaṛhāe iśhq iśhq jīnā sikhā de iśhq iśhq
jisko diyā dil jāṅ bhī usī ko do
jalke kaheṅ parvāne
iśhq kā rutbā …

kissā purānā iśhq kā duśhman zamānā iśhq kā
jisko lagā majnūṅ banā ulṭā niśhānā iśhq kā
nīṅde churā le iśhq iśhq rāteṅ jagā de iśhq iśhq
jī ko jalāe iśhq iśhq pāgal banā de iśhq iśhq
jitne bhī lāyā dukh śhikvā kabhī nā kareṅ
chup hī raheṅ dīvāne
iśhq kā rutbā …