Salaam aapkee meethee nazar ko salaam

सलाम आपकी मीठी नज़र को सलाम्
Work
Year
Language

सलाम आपकी मीठी नज़र को सलाम
किया हमपे जादू असर को सलाम
ओ सलाम सलाम सलाम
सलाम आपकी मीठी …

ख़ुदा भी ख़्यालों में लाया है तुमको
ख़ुद हाथों से अपने बनाया है तुमको
फ़लक़ ने भी दिल में बिठाया है तुमको
हमारी ज़मीं पे भी लाया है तुमको
सलाम ओ सुनहरी सहर को सलाम
ओ सलाम …

ये भीगा सा मौसम फ़िज़ा झूमती है
हवा मेरे दिल को मसलने लगी है
नज़र क्‌या मिली ज़िन्दगी मिल गई है
मेरी राह में चाँदनी खिल गई है
किया हमपे जादू …

ये जी चाहता है न जाऊँ यहाँ से
ये घर आपका कम नहीं आसमाँ से
हुआ मैं तुम्हारा और आया कहाँ से
मुझे तो मोहब्बत मिली है यहाँ से
सलाम आपके संग-ए-दर को सलाम
किया हमपे जादू …

salām āpkī mīṭhī nazar ko salām
kiyā hampe jādū asar ko salām
o salām salām salām
salām āpkī mīṭhī …

khudā bhī khyāloṅ meṅ lāyā hai tumko
khud hāthoṅ se apne banāyā hai tumko
falaq ne bhī dil meṅ biṭhāyā hai tumko
hamārī zamīṅ pe bhī lāyā hai tumko
salām o sunahrī sahar ko salām
o salām …

ye bhīgā sā mausam fizā jhūmtī hai
havā mere dil ko masalne lagī hai
nazar k‌yā milī zindgī mil gaī hai
merī rāh meṅ chāṇdnī khil gaī hai
kiyā hampe jādū …

ye jī chāhtā hai na jāūṇ yahāṇ se
ye ghar āpkā kam nahīṅ āsmāṇ se
huā maiṅ tumhārā aur āyā kahāṇ se
mujhe to mohabbat milī hai yahāṇ se
salām āpke saṅg-e-dar ko salām
kiyā hampe jādū …