rāt aṅdhiyārī hai
rāt aṅdhiyārī hai, māt dukhiyārī hai
sukh se tū so mere prāṇ, mere mān, merī raiṅ ke vihār
rāt aṅdhiyārī hai
tāre haiṅ gagan meṅ, āṇsū haiṅ nayan meṅ
ab nā samāye merī pīr, mere man meṅ
dhartī bhī roye aur roye āsmāṇ
mere prāṇ, mere mān, merī raiṅ ke vihār
rāt aṅdhiyārī hai
sisak rahā hai prāṇ, vīnā kā tār tār
(jahāṇ bhī nayan jāye aṅdhkār aṅdhkār)-2
āṇsūoṅ ke motiyoṅ kī tū hai muskān
mere prāṇ, mere mān, merī raiṅ ke vihār
rāt aṅdhiyārī hai
jahāṇ bhī tū rahe, mere āṇsūoṅ kī dhār rahe
balihārī jāūṇ mān, merā man prāṇ kahe
mere pyāre devtā kā tū hai vardān
mere prāṇ, mere mān, merī raiṅ ke vihār
rāt aṅdhiyārī hai, māt dukhiyārī hai
rāt aṅdhiyārī hai