Sajnaa sajnaa ... tere pyaar men main gaee kho sajnaa

सजना सजना ... तेरे प्यार में मैं गई खो सजना
Year
Language

सजना सजना ओ सजना तेरे प्यार में मैं गई खो सजना
तेरे ही कारन बनी रे जोगन अब होना है जो भी हो सजना

को: अब ये लागी छूटे ना अब ये बन्धन टूटे ना

मिलते ही नैन गया चैन मेरी रातों का
चल गया जादू तेरी प्यार भरी बातों का -2
सजना सजना …
को: अब ये लागी …

बैरी पपीहा जब पीयू-पीयू गाए रे
लागे वो बान मेरी जान चली जाए रे -2
सजना सजना …
को: अब ये लागी …

दुनिया के मेले न अकेले देख जाएँगे
तेरे ही संग पिया रंग सारे भाएँगे -2
सजना सजना …
को: अब ये लागी …

sajnā sajnā o sajnā tere pyār meṅ maiṅ gaī kho sajnā
tere hī kāran banī re jogan ab honā hai jo bhī ho sajnā

ko: ab ye lāgī chhūṭe nā ab ye bandhan ṭūṭe nā

milte hī nain gayā chain merī rātoṅ kā
chal gayā jādū terī pyār bharī bātoṅ kā -2
sajnā sajnā …
ko: ab ye lāgī …

bairī papīhā jab pīyū-pīyū gāe re
lāge vo bān merī jān chalī jāe re -2
sajnā sajnā …
ko: ab ye lāgī …

duniyā ke mele na akele dekh jāeṇge
tere hī saṅg piyā raṅg sāre bhāeṇge -2
sajnā sajnā …
ko: ab ye lāgī …