Sajnaa o sajnaa ... teree baahon men hai jannat meree ... jeenaa teree galee men

सजना ओ सजना ... तेरी बाहों में है जन्नत मेरी ... जीना तेरी गली में
Year
Language

सजना ओ सजना
सजनी ओ सजनी
तेरी बाहों में है जन्नत मेरी प्यारी नयनों की दो गलियां तेरी
जीना तेरी गली में
सजनी ओ सजनी …

ये रंगीं नज़ारे हैं मस्ती के इशारे हैं
ओ कहीं दूर चलें बाहों के सहारे हैं
अरमान दिल के मिल के पुकारे हैं
जीना तेरी गली में …

हमको क्‌या ज़माने से इसके रूठ जाने से
बाज़ नहीं आएगा ये दीवारें उठाने से
हम तो मिलेंगे किसी भी बहाने से
जीना तेरी गली में …

sajnā o sajnā
sajnī o sajnī
terī bāhoṅ meṅ hai jannat merī pyārī naynoṅ kī do galiyāṅ terī
jīnā terī galī meṅ
sajnī o sajnī …

ye raṅgīṅ nazāre haiṅ mastī ke iśhāre haiṅ
o kahīṅ dūr chaleṅ bāhoṅ ke sahāre haiṅ
armān dil ke mil ke pukāre haiṅ
jīnā terī galī meṅ …

hamko k‌yā zamāne se iske rūṭh jāne se
bāz nahīṅ āegā ye dīvāreṅ uṭhāne se
ham to mileṅge kisī bhī bahāne se
jīnā terī galī meṅ …