Sajdaa

सजदा
Year
Language

रोम रोम तेरा नाम पुकारे
एक हुए दिन रैन हमारे
हम से हम ही छीन गए हैं
जब से देखे हैं नैन तिहारे

तेरी काली अंखियों से जींद मेरी जागे
धड़कन से तेज़ दौडू, सपनों से आगे
अब जान लुट जाए, ये जहां छुट जाए
संग प्यार रहें, मैं रहूँ ना रहूँ

सजदा तेरा सजदा,
दिन रैन करुँ, ना ही चैन करुँ
सजदा तेरा सजदा
लख वार करुँ, मेरी जान करुँ

रान्झना, नैनों के तीर चल गए
साजना, साँसों से दिल सिल गए
पलकों में छुपा लूं, तेरा सजदा करुँ
सीने में समा लूं, दिन रैन करुँ
तेरे अंग अंग रंग मेरा बोले

बेलीया क्या हुआ जो दिल खो गया
माहिया इश्क में खुदा मिल गया
ज़रा आँख से पिला दे, तेरा सजदा करुँ
ज़रा ख्वाब सजा दे, दिन रैन करुँ
मेरे होंठों से मन तेरा बोले

rom rom terā nām pukāre
ek hue din rain hamāre
ham se ham hī chhīn gae haiṅ
jab se dekhe haiṅ nain tihāre

terī kālī aṅkhiyoṅ se jīṅd merī jāge
dhaṛkan se tez dauḍū, sapnoṅ se āge
ab jān luṭ jāe, ye jahāṅ chhuṭ jāe
saṅg pyār raheṅ, maiṅ rahūṇ nā rahūṇ

sajdā terā sajdā,
din rain karuṇ, nā hī chain karuṇ
sajdā terā sajdā
lakh vār karuṇ, merī jān karuṇ

rānjhnā, nainoṅ ke tīr chal gae
sājnā, sāṇsoṅ se dil sil gae
palkoṅ meṅ chhupā lūṅ, terā sajdā karuṇ
sīne meṅ samā lūṅ, din rain karuṇ
tere aṅg aṅg raṅg merā bole

belīyā kyā huā jo dil kho gayā
māhiyā iśhk meṅ khudā mil gayā
zarā āṇkh se pilā de, terā sajdā karuṇ
zarā khvāb sajā de, din rain karuṇ
mere hoṅṭhoṅ se man terā bole