Sajan re jhooth mat bolo, khudaa ke paas jaanaa hai

सजन रे झूठ मत बोलो, खुदा के पास जाना है
Year
Language

सजन रे झूठ मत बोलो, खुदा के पास जाना है
ना हाथी है, ना घोड़ा है, वहा पैदल ही जाना है

तुम्हारे महल चौबारे, यहीं रह जायेंगे सारे
अकड़ किस बात की प्यारे, ये सर फिर भी झुकाना है

भला कीजे भला होगा, बुरा कीजे बुरा होगा
बही लिख लिख के क्या होगा, यहीं सबकुछ चुकाना है

लड़कपन खेल में खोया, जवानी निंदभर सोया
बुढ़ापा देखकर रोया, वही किस्सा पुराना है

sajan re jhūṭh mat bolo, khudā ke pās jānā hai
nā hāthī hai, nā ghoṛā hai, vahā paidal hī jānā hai

tumhāre mahal chaubāre, yahīṅ rah jāyeṅge sāre
akaṛ kis bāt kī pyāre, ye sar phir bhī jhukānā hai

bhalā kīje bhalā hogā, burā kīje burā hogā
bahī likh likh ke kyā hogā, yahīṅ sabkuchh chukānā hai

laṛkapan khel meṅ khoyā, javānī niṅdabhar soyā
buṛhāpā dekhkar royā, vahī kissā purānā hai