Saiyaan le gaee jiyaa teree pahlee nazar

सैयाँ ले गई जिया तेरी पहली नज़र्
Year
Language

सैयाँ ले गई जिया तेरी पहली नज़र -2
कैसा जादू किया तूने मोपे ओ जादूगर
सैयाँ ले गई …

( पहले लगत इक सपना सा
अब तो लगत मोहे अपना सा ) -2
ले चल हाथ पकड़ के सजना चाहे जिधर
सैयाँ ले गई …

( आ गई बलम तेरी बातों में
क्‌या है न जाने तेरी आँखों में ) -2
भूल गई मैं प्यार में तेरे अपनी डगर
सैयाँ ले गई …

( जानूं कि तू हरजाई है
सोचूँ क्‌यूँ आँख मिलाई है ) -2
लेकिन तुझको देख रही ना अपनी ख़बर
सैयाँ ले गई …

saiyāṇ le gaī jiyā terī pahlī nazar -2
kaisā jādū kiyā tūne mope o jādūgar
saiyāṇ le gaī …

( pahle lagat ik sapnā sā
ab to lagat mohe apnā sā ) -2
le chal hāth pakaṛ ke sajnā chāhe jidhar
saiyāṇ le gaī …

( ā gaī balam terī bātoṅ meṅ
k‌yā hai na jāne terī āṇkhoṅ meṅ ) -2
bhūl gaī maiṅ pyār meṅ tere apnī ḍagar
saiyāṇ le gaī …

( jānūṅ ki tū harjāī hai
sochūṇ k‌yūṇ āṇkh milāī hai ) -2
lekin tujhko dekh rahī nā apnī khabar
saiyāṇ le gaī …