सैंया मान ले दिल की बात जियरा धक धक धक धक बोले
धक धक धक
ओ सैंया मान ले दिल की बात जियरा धक धक धक धक बोले
तू जो पकड़े मेरेआ हाथ जियरा धक धक धक धक बोले
मस्ती छाए हौले हौले
मैं जो सोचूं तेरी बात जियरा धक धक धक धक बोले
मैं जो आऊं तेरे पास जियरा धक धक धक धक बोले
मस्ती छाए हौले हौले
सैंया मान ले दिल की बात …
तूने अपने दीवाने पर ऐसा जादू डाला
होश गंवा के मस्ती में झूमे तेरा मतवाला
मैने भी अपने आप को अठरा साल संभाला
देखा जो तुझको तो दे दिया इस जोबन का प्याला
पाके प्यार भरी सौगात जियरा धक धक धक धक बोले
सैंया मान ले दिल की बात …
मैं जो आँखें बंद करूं मेरे सपनों में तू आए
सपनों में आके मुझको कैसे कैसे तड़पाए
जीने ना देगी मुझको मेरी जान तेरी अंगड़ाई
अब तो सही ना जाए मुझसे इक पल की भी जुदाई
करवट बदलूं सारी रात जियरा धक धक धक धक बोले
सैंया मान ले दिल की बात …
dhak dhak dhak
o saiṅyā mān le dil kī bāt jiyrā dhak dhak dhak dhak bole
tū jo pakaṛe mereā hāth jiyrā dhak dhak dhak dhak bole
mastī chhāe haule haule
maiṅ jo sochūṅ terī bāt jiyrā dhak dhak dhak dhak bole
maiṅ jo āūṅ tere pās jiyrā dhak dhak dhak dhak bole
mastī chhāe haule haule
saiṅyā mān le dil kī bāt …
tūne apne dīvāne par aisā jādū ḍālā
hośh gaṅvā ke mastī meṅ jhūme terā matvālā
maine bhī apne āp ko aṭhrā sāl saṅbhālā
dekhā jo tujhko to de diyā is joban kā pyālā
pāke pyār bharī saugāt jiyrā dhak dhak dhak dhak bole
saiṅyā mān le dil kī bāt …
maiṅ jo āṇkheṅ baṅd karūṅ mere sapnoṅ meṅ tū āe
sapnoṅ meṅ āke mujhko kaise kaise taṛpāe
jīne nā degī mujhko merī jān terī aṅgaṛāī
ab to sahī nā jāe mujhse ik pal kī bhī judāī
karavaṭ badlūṅ sārī rāt jiyrā dhak dhak dhak dhak bole
saiṅyā mān le dil kī bāt …