You are here

Rahne ko ghar naheen ... ab tak usee ne hai paalaa

Title (Indic)
रहने को घर नहीं ... अब तक उसी ने है पाला
Work
Year
Language
Credits
Role Artist
Music Nadeem-Shravan
Performer Zumaida Akhtar
Debashish
Kumar Sanu
Writer Sameer

Lyrics

Hindi

रहने को घर नहीं सोने को बिस्तर नहीं
अपना ख़ुदा है रखवाला
अब तक उसी ने है पाला -2

अपनी तो ज़िन्दगी कटती है फ़ूटपाथ पे
ऊँचे ऊँचे ये महल अपने हैं किस काम के
हमको तो माँ बाप के जैसी लगती है सड़क
कोई भी अपना नहीं रिश्ते हैं बस नाम के
अपने जो साथ है ये अँधेरी रात है -2
अपना नहीं है उजाला
अब तक उसी ने है …

( हम जो मज़दूर हैं ) -2 हर ग़म से दूर हैं
मेहनत की रोटियाँ मिल-जुल के खाते हैं
हम कभी नींद की गोलियाँ लेते नहीं
रख के पत्थर पे सर थक के सो जाते हैं
तूफ़ाँ से जब घिरे राहों में जब गिरे -2
हमको उसी ने सम्भाला
अब तक उसी ने है …

ये कैसा मुल्क़ है ये कैसी रीत है
याद करते हैं हमें लोग क्‌यूँ मरने के बाद
अंधे बहरों की बस्ती चारों तरफ़ अंधेरे
सब के सब लाचार हैं कौन सुने किसकी फ़रियाद
ऐसे में जीना है हमको तो पीना है -2
जीवन ज़हर का है प्याला
अब तक उसी ने है …

English

rahne ko ghar nahīṅ sone ko bistar nahīṅ
apnā khudā hai rakhvālā
ab tak usī ne hai pālā -2

apnī to zindgī kaṭtī hai fūṭpāth pe
ūṇche ūṇche ye mahal apne haiṅ kis kām ke
hamko to māṇ bāp ke jaisī lagtī hai saṛak
koī bhī apnā nahīṅ riśhte haiṅ bas nām ke
apne jo sāth hai ye aṇdherī rāt hai -2
apnā nahīṅ hai ujālā
ab tak usī ne hai …

( ham jo mazdūr haiṅ ) -2 har ġham se dūr haiṅ
mehnat kī roṭiyāṇ mil-jul ke khāte haiṅ
ham kabhī nīṅd kī goliyāṇ lete nahīṅ
rakh ke patthar pe sar thak ke so jāte haiṅ
tūfāṇ se jab ghire rāhoṅ meṅ jab gire -2
hamko usī ne sambhālā
ab tak usī ne hai …

ye kaisā mulq hai ye kaisī rīt hai
yād karte haiṅ hameṅ log k‌yūṇ marne ke bād
aṅdhe bahroṅ kī bastī chāroṅ taraf aṅdhere
sab ke sab lāchār haiṅ kaun sune kiskī fariyād
aise meṅ jīnā hai hamko to pīnā hai -2
jīvan zahar kā hai pyālā
ab tak usī ne hai …

Lyrics search