Title (Indic)ऐ दोस्त मेरे मैने दुनिया देखी है WorkSachaai Year1969 LanguageHindi Credits Role Artist Music Shankar Jaikishan Performer Manna Dey Performer Mohammad Rafi Writer Rajendra Krishan LyricsHindiऐ दोस्त मेरे मैने दुनिया देखी है अच्छी तरह अपनी नज़र से देखी है यहाँ अच्छा बुरा कौन है पहचानना मुश्क़िल सच की पूजा करने वाले हमने भूखे मरते देखे झूठ का दामन थामने वाले हमने मौजें करते देखे फूलों की सेज पर सो कर झूठे को आराम ना आए लेकिन सच्चे को पल भर में काँटों पर नींद आ जाए ऐ दोस्त मेरे … जिसका मन हो साफ़ ( वो गिरकर ) -2 भी ऊपर आता है चाँद को देखो जो घट-घट कर फिर भी आगे बढ़ जाता है जिसका तारा चमका सब ने बढ़कर उसका साथ दिया गिरते को यहाँ किसने थामा किसने उसको हाथ दिया अपनी तो हर सुबह होली अपनी तो हर शाम दीवाली दो दिन की ये दुनिया साथ नहीं है जाने वाली ऐ दोस्त मेरे … Englishai dost mere maine duniyā dekhī hai achchhī tarah apnī nazar se dekhī hai yahāṇ achchhā burā kaun hai pahchānnā muśhqil sach kī pūjā karne vāle hamne bhūkhe marte dekhe jhūṭh kā dāman thāmne vāle hamne maujeṅ karte dekhe phūloṅ kī sej par so kar jhūṭhe ko ārām nā āe lekin sachche ko pal bhar meṅ kāṇṭoṅ par nīṅd ā jāe ai dost mere … jiskā man ho sāf ( vo girkar ) -2 bhī ūpar ātā hai chāṇd ko dekho jo ghaṭ-ghaṭ kar phir bhī āge baṛh jātā hai jiskā tārā chamkā sab ne baṛhkar uskā sāth diyā girte ko yahāṇ kisne thāmā kisne usko hāth diyā apnī to har subah holī apnī to har śhām dīvālī do din kī ye duniyā sāth nahīṅ hai jāne vālī ai dost mere …