Sabhee sukh door se guzren guzarte hee chale jaaen

सभी सुख दूर से गुज़रें गुज़रते ही चले जाएं
Work
Year
Language

सभी सुख दूर से गुज़रें गुज़रते ही चले जाएं
मगर पीड़ा उमर भर साथ चलने को उतारू है
सभी दुख दूर से गुज़रे …

हमारा धूप में घर छाँव की क्‌या बात जानें हम
अभी तक तो अकेले ही चले क्‌या साथ जानें हम
बता दें क्‌या घुटन की घाटियाँ कैसी लगीं हमको
सदा नंगा रहा आकाश क्‌या बरसात जानें हम
बहारें दूर से गुज़रें गुज़रती ही चली जाएं
मगर पतझड़ उमर भर साथ चलने को उतारू है
सभी दुख दूर से गुज़रे …

अटारी को धरा से किस तरह आवाज़ दे दें हम
मेंहदिया पाँव को क्‌यों दूर का अन्दाज़ दे दें हम
चले शमशान की देहरी वही है साथ की संज्ञा
बरफ़ के एक बुत को आस्था की आँच क्‌यों दें हम
हमें अपने सभी बिसरें बिसरते ही चले जाएं
मगर सुधियाँ उमर भर साथ चलने को उतारू है
सभी दुख दूर से गुज़रे …

सुखों की आँख से तो बांचना आता नहीं हमको
सुखों की साख से तो आँकना आता नहीं हमको
चलें चलते रहें उमर भर हम पीर की राहें
सुखों की लाज से ढांपना आता नहीं हमको
निहोरे दूर से गुज़रें गुज़रते ही चले जाएं
मगर अनबन उमर भर साथ चलने को उतारू है
सभी दुख दूर से गुज़रे …

sabhī sukh dūr se guzreṅ guzarte hī chale jāeṅ
magar pīṛā umar bhar sāth chalne ko utārū hai
sabhī dukh dūr se guzre …

hamārā dhūp meṅ ghar chhāṇv kī k‌yā bāt jāneṅ ham
abhī tak to akele hī chale k‌yā sāth jāneṅ ham
batā deṅ k‌yā ghuṭan kī ghāṭiyāṇ kaisī lagīṅ hamko
sadā naṅgā rahā ākāśh k‌yā barsāt jāneṅ ham
bahāreṅ dūr se guzreṅ guzartī hī chalī jāeṅ
magar patjhaṛ umar bhar sāth chalne ko utārū hai
sabhī dukh dūr se guzre …

aṭārī ko dharā se kis tarah āvāz de deṅ ham
meṅhdiyā pāṇv ko k‌yoṅ dūr kā andāz de deṅ ham
chale śhamśhān kī dehrī vahī hai sāth kī saṅjñā
baraf ke ek but ko āsthā kī āṇch k‌yoṅ deṅ ham
hameṅ apne sabhī bisreṅ bisarte hī chale jāeṅ
magar sudhiyāṇ umar bhar sāth chalne ko utārū hai
sabhī dukh dūr se guzre …

sukhoṅ kī āṇkh se to bāṅchnā ātā nahīṅ hamko
sukhoṅ kī sākh se to āṇknā ātā nahīṅ hamko
chaleṅ chalte raheṅ umar bhar ham pīr kī rāheṅ
sukhoṅ kī lāj se ḍhāṅpnā ātā nahīṅ hamko
nihore dūr se guzreṅ guzarte hī chale jāeṅ
magar anaban umar bhar sāth chalne ko utārū hai
sabhī dukh dūr se guzre …