Sabak aisaa parhaa diyaa toone

सबक ऐसा पढ़ा दिया तूने
Work
Year
Language

( सबक ऐसा पढ़ा दिया तूने
दिल से सब कुछ भुला दिया तूने ) -2

लाख देने का एक देना है
ओ ओ ओ
लाख देने का एक देना है
दिल-ए-बेमुद्दआ दिया तूने

बेतलब जो मिला मिला मुझको -2
बेग़रज़ जो दिया दिया तूने
सबक ऐसा पढ़ा दिया तूने
दिल से सब कुछ भुला दिया तूने

( कहीं मुश्ताक़ से हिजाब हुआ
कहीं परदा उठा दिया तूने ) -2
मिट गये दिल से नक़्श-ए-क़ातिल सब
नक़्शा अपना जमा दिया तूने

सबक ऐसा
हो
सबक ऐसा

मुझ गुनहगार को जो बख़्श दिया -2
तो जहन्नुम को क्‌या दिया तूने
दाग़ को कौन देने वाला था
जो दिया ऐ ख़ुदा दिया तूने

सबक ऐसा -4
सबक ऐसा पढ़ा दिया तूने
दिल से सब कुछ भुला दिया तूने

( sabak aisā paṛhā diyā tūne
dil se sab kuchh bhulā diyā tūne ) -2

lākh dene kā ek denā hai
o o o
lākh dene kā ek denā hai
dil-e-bemuddaā diyā tūne

betalab jo milā milā mujhko -2
beġhraz jo diyā diyā tūne
sabak aisā paṛhā diyā tūne
dil se sab kuchh bhulā diyā tūne

( kahīṅ muśhtāq se hijāb huā
kahīṅ pardā uṭhā diyā tūne ) -2
miṭ gaye dil se naqśh-e-qātil sab
naqśhā apnā jamā diyā tūne

sabak aisā
ho
sabak aisā

mujh gunahgār ko jo bakhśh diyā -2
to jahannum ko k‌yā diyā tūne
dāġh ko kaun dene vālā thā
jo diyā ai khudā diyā tūne

sabak aisā -4
sabak aisā paṛhā diyā tūne
dil se sab kuchh bhulā diyā tūne