सब में शामिल हो मगर सबसे जुदा रहती हो
सब में शामिल हो मगर सबसे जुदा रहती हो
सिर्फ़ हमसे नहीं खुद से भी ख़फ़ा लगती हो
सब में शामिल …
आँख उठती है न झुकती है किसी की ख़ातिर -2
साँस चढ़ती है न रुकती है किसी की ख़ातिर
जो किसी दर पे न ठहरे वो हवा लगती हो
सिर्फ़ हमसे नहीं …
ज़ुल्फ़ लहराए तो आँचल में छुपा लेती हो -2
होंठ थर्राएँ तो दाँतों में दबा लेती हो
जो कभी खुल के न बरसे वो घटा लगती हो
सिर्फ़ हमसे नहीं …
जागी-जागी नज़र आती हो न सोई-सोई -2
तुम जो हो अपने ख़्यालात में खोई-खोई
किसी मायूस मुसव्विर की दुआ लगती हो
सिर्फ़ हमसे नहीं …
sab meṅ śhāmil ho magar sabse judā rahtī ho
sirf hamse nahīṅ khud se bhī khafā lagtī ho
sab meṅ śhāmil …
āṇkh uṭhtī hai na jhuktī hai kisī kī khātir -2
sāṇs chaṛhtī hai na ruktī hai kisī kī khātir
jo kisī dar pe na ṭhahre vo havā lagtī ho
sirf hamse nahīṅ …
zulf lahrāe to āṇchal meṅ chhupā letī ho -2
hoṅṭh tharrāeṇ to dāṇtoṅ meṅ dabā letī ho
jo kabhī khul ke na barse vo ghaṭā lagtī ho
sirf hamse nahīṅ …
jāgī-jāgī nazar ātī ho na soī-soī -2
tum jo ho apne khyālāt meṅ khoī-khoī
kisī māyūs musavvir kī duā lagtī ho
sirf hamse nahīṅ …