सब कुछ सीखा हमने ना सीखी होशियारी
सब कुछ सीखा हमने ना सीखी होशियारी
सच है दुनियावालों कि हम हैं अनाड़ी
दुनिया ने कितना समझाया
कौन है अपना कौन पराया
फिर भी दिल की चोट छुपा कर
हमने आपका दिल बहलाया
खुद पे मर मिटने की ये ज़िद थी हमारी (2)
सच है दुनियावालों कि हम हैं अनाड़ी
असली नकली चेहरे देखे
दिल पे सौ सौ पहरे देखे
मेरे दुखते दिल से पूछो
क्या क्या ख्वाब सुनहरे देखे
टूटा जिस तारे पे नज़र थी हमारी (2)
सच है दुनियावालों कि हम हैं अनाड़ी
दिल का चमन उजड़ते देखा
प्यार का रंग उतरते देखा
हमने हर जीने वाले को
धन दौलत पे मरते देखा
दिल पे मरने वाले मरेंगे भिखारी (2)
सच है दुनियावालों कि हम हैं अनाड़ी
sab kuchh sīkhā hamne nā sīkhī hośhiyārī
sach hai duniyāvāloṅ ki ham haiṅ anāṛī
duniyā ne kitnā samjhāyā
kaun hai apnā kaun parāyā
phir bhī dil kī choṭ chhupā kar
hamne āpkā dil bahlāyā
khud pe mar miṭne kī ye zid thī hamārī (2)
sach hai duniyāvāloṅ ki ham haiṅ anāṛī
aslī naklī chehre dekhe
dil pe sau sau pahre dekhe
mere dukhte dil se pūchho
kyā kyā khvāb sunahre dekhe
ṭūṭā jis tāre pe nazar thī hamārī (2)
sach hai duniyāvāloṅ ki ham haiṅ anāṛī
dil kā chaman ujaṛte dekhā
pyār kā raṅg utarte dekhā
hamne har jīne vāle ko
dhan daulat pe marte dekhā
dil pe marne vāle mareṅge bhikhārī (2)
sach hai duniyāvāloṅ ki ham haiṅ anāṛī