Sab kahaaan kuchh laalaa-o-gul men numaayaa ho gaye

सब कहाअँ कुछ लाला-ओ-गुल में नुमाया हो गये
Work
Language

सब कहाँ कुछ लाला-ओ-गुल में नुमाया हो गयीं
ख़ाक़ में क्‌या सूरतें होंगी कि पिन्हा हो गयीं

रंज से ख़ूग़र हुआ इनसाँ तो मिट जाता है रंज
मुशक़िलें मुझ पर पड़ीं इतनी की आसाँ हो गयीं

यूँ ही गर रोता रहा ग़ालिब तो ऐ एहल-ए-जहाँ
देखना इन बस्तियों को तुम कि वीराँ हो गयीं

sab kahāṇ kuchh lālā-o-gul meṅ numāyā ho gayīṅ
khāq meṅ k‌yā sūrteṅ hoṅgī ki pinhā ho gayīṅ

raṅj se khūġhar huā insāṇ to miṭ jātā hai raṅj
muśhaqileṅ mujh par paṛīṅ itnī kī āsāṇ ho gayīṅ

yūṇ hī gar rotā rahā ġhālib to ai ehal-e-jahāṇ
dekhnā in bastiyoṅ ko tum ki vīrāṇ ho gayīṅ