Saayaa bhee saath jab chhor jaae aisee hai tanhaaee

साया भी साथ जब छोड़ जाए ऐसी है तन्हाई
Work
Year
Language

आ आ आ
साया भी साथ जब छोड़ जाए ऐसी है तन्हाई
रोना चाहूं तो आँसू न आए ऐसी है तन्हाई
साया भी साथ …

जो ऐसे छोड़ के महबूब जाए
तो जीने से न क्‌यूं दिल ऊब जाए
साया भी साथ …

पाया हमने ये बिन तेरे
रंज की राहें और ग़म के अंधेरे
वो भी तो हमसे खो गए हाय ऐसी है तन्हाई
साया भी साथ …

याद आते हैं बीते ज़माने
जब तुम आए थे हमको मनाने
अब तो दिल रूठे दर्द मनाए ऐसी है तन्हाई
साया भी साथ …

ā ā ā
sāyā bhī sāth jab chhoṛ jāe aisī hai tanhāī
ronā chāhūṅ to āṇsū na āe aisī hai tanhāī
sāyā bhī sāth …

jo aise chhoṛ ke mahbūb jāe
to jīne se na k‌yūṅ dil ūb jāe
sāyā bhī sāth …

pāyā hamne ye bin tere
raṅj kī rāheṅ aur ġham ke aṅdhere
vo bhī to hamse kho gae hāy aisī hai tanhāī
sāyā bhī sāth …

yād āte haiṅ bīte zamāne
jab tum āe the hamko manāne
ab to dil rūṭhe dard manāe aisī hai tanhāī
sāyā bhī sāth …